नमस्कार आप का इस ब्लॉग पर स्वागत है।
“चाय और वो” एक short film (vertical) है जिसे मैंने अपने instagram page के लिए बनाया था और यह दर्शकों को काफ़ी पसंद भी आया, करीब 10 लाख से अधिक लोगों ने इसे social media माध्यम से देखा और खूब प्यार भी दिया।
आप भी इसे नीचे देख सकते हैं:
बहुत से सिनेमा में रुचि रखने वाले दोस्त अक्सर मुझसे कहते हैं कि मुझे Chai aur Woh Screenplay मिल सकता है क्या?
तो आज मैं उन सभी लोगों के लिए इस पोस्ट में screenplay को साझा कर रहा हूँ।

Chai aur Woh Cast, Crew & Other Details
| Short Film | Chai aur Woh |
| Writer & Director | Agyaat Aadarsh |
| Lead Male Actor | Agyaat Aadarsh |
| Lead Female Actress | Tanvi Tomar |
| DOP & Editor | Dushyant Garg |
| Mother’s Voiceover | Noor Khanna |
| Special Assistance | Manya Rajput, Keshav Chaudhary |
Chai aur Woh Screenplay
नीचे आप इत्मीनान से Chai aur Woh Screenplay को पढ़ सकते हैं।
EXT. OPEN AREA - DAY
Tanvi aur Aadarsh ki behas ho rahi hai, Aadarsh gusse me hai aur Tanvi use samjhane ki koshish kar rahi hai.
TANVI
Aadarsh, hum ise baat karke theek kar sakte hain yaar, aisi chhoti-moti ladayian hote rehti hain! Baat-baat par gussa karna theek nahi hai!!
AADARSH
(Gusse me, chillate huye)
Nahi Tanvi! Enough is enough. Mujhse ab aur nahi hoga, bye.
EXT. OPEN AREA - DAY
Aadarsh chhat par, apni maa ke saath phone par baat kar raha hai.
AADARSH
Mummy, aap kaise chai banate ho? Aap ke jaisa swad aata hi nahi yahan.
MUMMY (O.S.)
Chal tujhe apni special recipe btati hun! Kitchen me ja!
AADARSH
Chalo jata hun par aap ek hi recipe se roz-roz chai banakar bore nahi ho jate?
MUMMY (O.S.)
Beta main dil se khana bnati hun aur jis chij me dil lage n, insaan usse kabhi bore nahi hota!!
Aadarsh ke chehre par aisa emotion hai jaise kuchh realization hui ho aur fir 2-3 sec tak ek flashback scene aata hai jisme Tanvi aur Aadarsh sath me khush hain.
AADARSH
Mummy! Main kitchen me aa gya! Ab btao kya karun?
Aadarsh ki mummy phone par jaise jaise recipe bta rahi hain wo waise-waise kar raha hai.
MUMMY (O.S.)
Chal gas jala, pateela chadha, aur usme 2 cup paani daal aur dekhna ye 2 cup paani apas me milke aise ek ho jayenge jaise kabhi 2 the hi nahi!!
Aadarsh ke chehre par fir se kuchh realization hoti hai aur flashback me ek 2-3 sec ka scene jisme Tanvi aur Aadarsh sath me walk kar rahe hain aur khush hain.
AADARSH
Haan mummy! Ab aage btao.
MUMMY (O.S.)
Ab cheeni daal par dhyan se jyada meetha bhi achha nahi hota.
Aadarsh fir se thoda confuse sa ho jata hai uske chehre par shikan hai aur flashback me ek scene hai jisme Tanvi, Aadarsh se kehti hai -
TANVI
"Aadarsh mujhe bhi mera space do na! Tum jyada possesive ho jate ho"!
AADARSH
Kuchh realize karte huye
Haan maa! Ab samjh aa raha hai.
MUMMY (O.S.)
Kya samjh aa raha hai?
AADARSH
Arey yahi ki chai kaise banti hai, aap aage btao na!
MUMMY (O.S.)
Ab isme chai-patti, adrak aur ilaichi daal. Inhi masalon se chai kadak banti hai.
Aadarsh ko fir se kuchh realization hoti hai flashback me wahi scene jahan Tanvi kehti hai -
TANVI
"aisi chhoti-moti ladayian hoti rehti hain".
AADARSH
Haan Maa! Ab?
MUMMY (O.S.)
Ab bas isme doodh daal, flame ko tez kar par dhyan rakhna is waqt chai ubal kar gir bhi sakti hai.
Flashback - "Mujhse ab aur nahi hoga, bye."
MUMMY (O.S.)
To dhyan rakhna, chai ko girne mat dena.
Aadarsh ko achanak se kuchh yaad aata hai, wo bahut jaldi me hai.
AADARSH
Mummy! Thank you so much. Main aap ko thodi der me phone karta hun.
MUMMY (O.S.)
Chal theek hai! Chai pee ke btana kaisi lagi?
AADARSH
Okay Mummy, pakka, Bye!!
EXT. OPEN AREA - DAY
Tanvi ek location par baithi hui hai. Aadarsh uske paas me ja kar baith jata hai. Tanvi use dekhti hai.
TANVI
(Sad and normal tone)
Ab kyon ho aaye ho tum?
AADARSH
Sorry Tanvi! Tum theek keh rahi thi, hum baat karke sab theek kar sakte hain! I am really sorry!!
TANVI
Achha, ab kahan se akal aa gyi aap ko?
AADARSH
Umm! Pata nahi! Shayad ne chai ne seekha diya.
TANVI
(Confusion me)
Chai ne?
AADARSH
Chhodo na! Chai peene chalein kya?
Tanvi thoda sochti hai.
TANVI
Chalo!!
Fir dono muskurate hain aur chai peene chale jate hain.
तो ये था “चाय और वो” का पूरा screenplay, बेशक शूट के दौरान script से कुछ चीजें अलग भी हो जाती हैं पर आधार हमेशा यही होता है।
आशा करता हूँ आप के लिए यह मददगार साबित होगा।
अपना कीमती वक़्त देकर पढ़ने के लिए, दिल से शुक्रिया!